qatil sabhi the chal diye maqtal se raaton raat
tanha khaDi larazti rahi sirf meri zat
tahzib ki jo unchi imarat hai Dha na dun
jine ke rakh-rakhaw se milti nahin najat
KHwabon ki barf pighli to har aks dhul gaya
apnon ki baat ban gai ek ajnabi ki baat
kanTon ki sej par chalun shoalon ki mai piyun
sangin marhalon ka safar kaun dega sat
suraj bhi thak chuka hai kahan raushni kare
wirse mein baT gai hai andheron ki kaenat
sargoshi bhi karun to bikhar jae ek gunj
bahron ke is hujum mein sunta hai kaun baat
jhunjhla ke kyun na chhin lun TuTa hai wo azab
phir waqt ghumta hai liye dard ki zakat

Ghazal
Qatil sabhi the chal diye maqtal se raaton raat
Rauf Khalish