qatil ko tegh-e-naz pe hai naz dekhna
daman uTha ke chalne ka andaz dekhna
rashk-e-raqib ka to guman bhi na kijiye
marta hun is liye ki hai eajaz dekhna
tum aur apne wade pe aa jao sham se
kya baat ban paDi hai KHuda-saz dekhna
hai KHun-e-dil abhi sar-e-mizhgan jama hua
un ki taraf na dida-e-ghammaz dekhna
fasl-e-bahaar aate hi mutrib bani saba
chheDa shamim-e-gul ne naya saz dekhna
aaina samne na sahi aarsi to hai
tum apne muskurane ka andaz dekhna
bazu hain wa qafas mein taDapta hun raat-din
kis se kahun ki hasrat-e-parwaz dekhna
yun dekhne ke waste lakhon hasin hain
kis ko hua nasib ye andaz dekhna
ghussa mein aankh bhi nahin milti kisi se aaj
kis par gire nigah ka shahbaz dekhna
har lab pe gudgudi ka asar dekhta hun main
mahfil mein un ki shoKHi-e-awaz dekhna
qail bani nazakat-e-awaz dekhna
likhe hain sher hazrat-e-'beKHud' ke rang mein
ai ahl-e-bazm 'shad' ka eajaz dekhna
Ghazal
Qatil ko tegh-e-naz pe hai naz dekhna
Murli Dhar Shad