اردو हिंदी
Qatil ke kuche mein hama-tan jaun ban ke panw | Shaahi Shayari
qatil ke kuche mein hama-tan jaun ban ke panw

Ghazal

Qatil ke kuche mein hama-tan jaun ban ke panw

Munshi Debi Parshad Sahar Badayuni

;

qatil ke kuche mein hama-tan jaun ban ke panw
mar kar hi taki so to zara paun tan ke paon

kyunkar rakhun main sair ko andar chaman ke panw
ek umr se to ho rahe KHugar hain ban ke panw

bhaari hain nazuki se jo mehndi mein san ke panw
kahte hain kar diye mere kyun lakh man ke panw

kya sath mera dasht-nawardi mein kar sake
do-chaar chaukDi mein gae thak hiran ke panw

hathon ko hai hawa se gareban-dari hanuz
sahra-talab hain mar ke bhi andar kafan ke panw

aana hai der der to jaana hai jald jald
raftan ke aur hain tere aur aamdan ke panw

sadme se hath ke kahin gaTTa utar na jae
kyunkar dabaun us but-e-nazuk-badan ke panw

ai dil tu dekh us ki sar-e-zulf mein na ja
nadan hai sar pe jo rakhe kale ke phan ke panw

kuchh aaj ye bhi aata hai rindo piye hue
paDte hain bahke bahke jo sheKH-e-zaman ke panw

pahuncha hai ab to 'sehr' kalam apna dur dur
shohrat se lag gae hain hamare suKHan ke panw