اردو हिंदी
Qasid ko de na ai dil us gul-badan ki pati | Shaahi Shayari
qasid ko de na ai dil us gul-badan ki pati

Ghazal

Qasid ko de na ai dil us gul-badan ki pati

Qayem Chandpuri

;

qasid ko de na ai dil us gul-badan ki pati
chal KHud hi le chalen hum apne sajan ki pati

har satr mauj-e-shirin ek muddaa rakhe hai
Tuk dekh ju-e-pur-KHun hai kohkan ki pati

kaghaz hari zamin ka nahin dekhta ki shayad
pahunche na is hunar se us ko haman ki pati

munfaz nigah ka aansu ghere hi len hain pyare
banchun so kis tarah se ab mein tumhan ki pati

aawara dagh-e-dil hain nale se yun ki jaise
baad-e-KHizan se dirham howe chaman ki pati

'qaem' likha tha us ne aane ka shab ko wada
so din mein dekhi sau dam us sim-tan ki pati