اردو हिंदी
Qasid-e-mast-gam mauj-e-saba | Shaahi Shayari
qasid-e-mast-gam mauj-e-saba

Ghazal

Qasid-e-mast-gam mauj-e-saba

Majeed Amjad

;

qasid-e-mast-gam mauj-e-saba
koi ramz-e-KHiram mauj-e-saba

wadi-e-barf ka koi sandes
mere ashkon ke nam mauj-e-saba

koi mauj-e-KHayal mein bahti
manzilon ka payam mauj-e-saba

so simaTti masafaton ka tilism
teri karwaT ka nam mauj-e-saba

tere daman ki KHushbuon mein hain gham
sau suhane maqam mauj-e-saba

aati patjhaD ke sath lauTte waqt
ek bahaaren payam mauj-e-saba

ek nawed-e-nigah-e-paik-e-habib
ek jawab-e-salam mauj-e-saba