qamat ko tere sarw sanobar nahin kaha
jaisa bhi tu tha us se to baDh kar nahin kaha
us se mile to zom-e-takallum ke bawajud
jo soch kar gae wahi aksar nahin kaha
itni murawwaten to kahan dushmanon mein thin
yaron ne jo kaha mere munh par nahin kaha
mujh sa gunahgar sar-e-dar kah gaya
waiz ne jo suKHan sar-e-mimbar nahin kaha
barham bas is KHata pe amiran-e-shahr hain
in jauhaDon ko main ne samundar nahin kaha
ye log meri fard-e-amal dekhte hain kyun
main ne 'faraaz' KHud ko payambar nahin kaha
Ghazal
Qamat ko tere sarw sanobar nahin kaha
Ahmad Faraz