qail karun kis baat se main tujh ko sitamgar
Dhalwan pe rukta nahin pani ho ki patthar
suraj nikal aaya to wo mausam na rahega
kuchh der ka mehman hai yahan subh ka manzar
bahar jo main niklun to barahna nazar aaun
baiTha hun main ghar mein dar-diwar pahan kar
bekar gaya gahre samundar mein utarna
lahren mujhe phir Dal gain ret ke upar
aa dekh ki hun ab bhi main aaghosh-kushada
aankhen hain meri os mein bhiga hua bistar
kya mujh se meri umr ka qad nap rahe ho
har pal hai yahan kitni hi sadiyon ke barabar
baadal ho to phir khul ke baras lo kabhi shahid
hai baat agar dil mein to kah do use munh par

Ghazal
Qail karun kis baat se main tujhko sitamgar
Saleem Shahid