qail bhala hon nama-bari mein saba ke KHak
phirti hai wo bhi galiyon mein aksar uDa ke KHak
kahta hun soz-e-dil se ki kar chuk jala ke KHak
ek baat par jo yar ne jaani uTha ke KHak
kya kanpta hai nala-e-sozan se ai falak
jab baat thi ki mujh ko kiya ho jala ke KHak
pani nikal ke dasht mein jari hai ja-ba-ja
ya-rab gaya hai kaun ye sar par uDa ke KHak
daman uTha uTha ke jo bachta hua chala
kyun howen mar ke kuche mein is bewafa ke KHak
rizwan abir-e-KHuld se badlun na zinhaar
KHushbu hai kuche mein wo mere mah-laqa ke KHak
'arif' ko yaro hum to samajhte the ahl-e-din
dariya mein log aae hain us ki baha ke KHak
Ghazal
Qail bhala hon nama-bari mein saba ke KHak
Zain-ul-Abideen Khan Arif