qaede bazar ke is bar ulTe ho gae
aap to aae nahin par phul mahnge ho gae
ek din donon ne apni haar mani ek sath
ek din jis se jhagaDte the usi ke ho gae
mujh ko is husn-e-nazar ki dad milni chahiye
pahle se achchhe the jo kuchh aur achchhe ho gae
muddaton se hum ne koi KHwab bhi dekha nahin
muddaton ek shaKHs ko ji bhar ke dekhe ho gae
bas tere aane ki ek afwah ka aisa asar
kaise kaise log the bimar achchhe ho gae
Ghazal
Qaede bazar ke is bar ulTe ho gae
Nomaan Shauque