qabil-e-sharh mera haal-e-dil-e-zar na tha
sunne wale to bahut the koi gham-KHwar na tha
ab wo jine ke liye soch raha hai tadbir
apne hathon jise marna kabhi dushwar na tha
mujh se puchho to qaza us ki hai maut us ki hai
dosh-e-ahbab pe jo mar ke giran-bar na tha
chunte the bagh mein aa aa kar unhen ahl-e-junun
aashiyan ka mere tinka koi bekar na tha
ye hamin ne to mohabbat ki nikalin rasmen
aap par marne ko pahle koi tayyar na tha
dam-e-sayyaad mein aazad raha shikwa-e-gham
main giraftar tha lekin ye giraftar na tha
ab unhen samne aane mein hai uzr ai 'bismil'
milne-julne se jinhen peshtar inkar na tha
Ghazal
Qabil-e-sharh mera haal-e-dil-e-zar na tha
Bismil Allahabadi