اردو हिंदी
Qabil-e-did ye bhi manzar hai | Shaahi Shayari
qabil-e-did ye bhi manzar hai

Ghazal

Qabil-e-did ye bhi manzar hai

Khizr Barni

;

qabil-e-did ye bhi manzar hai
har KHushi gham ka ek daftar hai

sochta hun yahi mera ghar hai
kis ke jalwon se ab munawwar hai

yaad-e-jaanan are maaz-allah
jaise pahlu mein ek nashtar hai

un se har chand rasm-o-rah nahin
silsila gham ka phir barabar hai

kaise ho mustafiz peshani
sang-dil jab ki KHud tera dar hai

yak-ba-yak hans paDa hai diwana
har-nafas dekhta hai shashdar hai

imtihan 'KHizr' hai wafaon ka
us ke hathon mein aaj KHanjar hai