اردو हिंदी
Pyasi hain ragen jism ko KHun mil nahin sakta | Shaahi Shayari
pyasi hain ragen jism ko KHun mil nahin sakta

Ghazal

Pyasi hain ragen jism ko KHun mil nahin sakta

Aftab Arif

;

pyasi hain ragen jism ko KHun mil nahin sakta
suraj ki hararat se sukun mil nahin sakta

buniyaad mere ghar ki hawaon pe rakhi hai
DhunDe se koi sang-e-sutun mil nahin sakta

sab ke liye lazim nahin samton ka tayyun
main rah ki is bhiD mein kyun mil nahin sakta

uTTha tha bagula sa uDa le gaya sab kuchh
socha kiya main KHak mein KHun mil nahin sakta

aa jao pa mujh se koi ummid na rakkho
mil jaunga main yan wo junun mil nahin sakta