pyase ke pas raat samundar paDa hua
karwaT badal raha tha barabar paDa hua
bahar se dekhiye to badan hain hare-bhare
lekin lahu ka kal hai andar paDa hua
diwar to hai rah mein salim khaDi hui
saya hai darmiyan se kaT kar paDa hua
andar thi jitni aag wo ThanDi na ho saki
pani tha sirf ghas ke upar paDa hua
hathon pe bah rahi hai lakiron ki aabju
qismat ka khet phir bhi hai banjar paDa hua
ye KHud bhi aasman ki wusat mein qaid hai
kya dekhta hai chand ko chhat par paDa hua
jalta hai roz sham ko ghaTi ke us taraf
din ka charagh jhil ke andar paDa hua
mara kisi ne sang to Thokar lagi mujhe
dekha to aasman tha zamin par paDa hua
Ghazal
Pyase ke pas raat samundar paDa hua
Iqbal Sajid