pyas sadiyon ki hai lamhon mein bujhana chahe
ek zamana teri aankhon mein samana chahe
aisi lahron mein nadi par ki hasrat kis ko
ab to jo aae yahan Dub hi jaana chahe
aaj bikne sar-e-bazar main KHud aaya hun
kyun mujhe koi KHaridar banana chahe
mujh mein aur tujh mein hai ye farq to ab bhi qaim
tu mujhe chahe magar tujh ko zamana chahe
kabhi izhaar-e-mohabbat kabhi shikwon ke liye
tujh se milne ka koi roz bahana chahe
jis ko chhune se mera jism sulag uTTha tha
dil phir ek bar usi chhanw mein jaana chahe
us ke jazbaat se yun khel raha hun 'saghar'
jaise pani mein koi aag lagana chahe
Ghazal
Pyas sadiyon ki hai lamhon mein bujhana chahe
Saghar Azmi