اردو हिंदी
Pyas lagna thi lagi sarshaar hona tha hue | Shaahi Shayari
pyas lagna thi lagi sarshaar hona tha hue

Ghazal

Pyas lagna thi lagi sarshaar hona tha hue

Khalid Ahmad

;

pyas lagna thi lagi sarshaar hona tha hue
hum ko gharqab-e-sarab-e-dar hona tha hue

hum teri aahaT pe saDkon par nikal aae to kya
hum ko ruswa bar-sar-e-bazar hona tha hue

tere kandhon ke liye sar de ke aaKHir kya gaya
hum ko yun bhi be-sar-o-dastar hona tha hue

tu kahe to apne hathon apni shah-e-rag kaT len
hum ko tere hath ki talwar hona tha hue

KHwab ke aalam mein chalne ka maraz kab ja saka
KHwab hi mein nind se bedar hona tha hue

in saron ki aur in mahlon ki qismat ek thi
sang chalna the chale mismar hona tha hue

ek din 'KHalid' hamein ye swang bharna tha bhara
jhuT gaDhna the ghaDe fankar hona tha hue