pyas ko dariya raha aur KHak ko sahra raha
is ke mani ye hue ke ye safar achchha raha
ab main Duba tab main Duba bas isi ummid mein
ek samundar pas mere raat-bhar baiTha raha
main koi manzil nahin tha mil ka patthar tha bas
baad mere bhi musalsal rasta chalta raha
ek aahaT aa ke mere dar se wapas ho gai
aur main kanon ko takiye se daba sota raha
sun liya tha ek din ek sans hogi aaKHiri
aur phir har sans pe us sans ka dhaDka raha
ek zara hazrat ne sab kuchh hi badal kar rakh diya
jo kabhi ek shaKHs tha ab wo faqat chehra raha
zindagi ab aur koi gham diya to dekhiyo
KHak kar dunga tujhe main ye mera wada raha
Ghazal
Pyas ko dariya raha aur KHak ko sahra raha
Charagh Barelvi