اردو हिंदी
Pyas baDhti hui ta-hadd-e-nazar pani tha | Shaahi Shayari
pyas baDhti hui ta-hadd-e-nazar pani tha

Ghazal

Pyas baDhti hui ta-hadd-e-nazar pani tha

Ain Tabish

;

pyas baDhti hui ta-hadd-e-nazar pani tha
ru-ba-ru kaisa ajab manzar-e-hairani tha

rasta band tha aur shauq-e-safar tha baqi
ek afsana junun ka tha jo tulani tha

ek KHushbu thi jo malbus pe tabinda thi
ek mausam tha mere sar pe jo tufani tha

dam-ba-KHud ek tamasha-e-fana tha har-su
shor karta hua ek shauq-e-jahanbani tha

KHud-pasandi ka ajab wahm tha sab par tari
jaise koi bhi kisi ka na yahan sani tha