pyara sa KHwab nind ko chhu kar guzar gaya
mayusiyon ka zahr gale mein utar gaya
aankhon ko kya chhalakne se roka ghazab hua
lagta hai sara jism hi ashkon se bhar gaya
dekhe tah-e-charagh ghani zulmaton ke dagh
aur main fuzun-e-kaif-o-masarrat se Dar gaya
tanhaiyan hi shauq se phir ham-safar huin
jab nashsha-e-junun-e-rifaqat utar gaya
kuche se bhi jo apne guzarta na tha kabhi
kya soch kar uTha tha ki jaan se guzar gaya
mamuli hai ki subh jalata hun KHud ko main
hota ye hai ki roz sar-e-sham mar gaya
ab jis ko jo samajhna ho samjha kare to kya
'rashid' tera sukut ajab kaam kar gaya
Ghazal
Pyara sa KHwab nind ko chhu kar guzar gaya
Rashid Jamaal Farooqi