pyar ki nai dastak dil pe phir sunai di
chand si koi surat KHwab mein dikhai di
kis ne meri palkon pe titliyon ke par rakhe
aaj apni aahaT bhi der tak sunai di
hum gharib logon ke aaj bhi wahi din hain
pahle kya asiri thi aaj kya rihai di
barishon ke chehre par aansuon se likhna hai
kuchh na koi paDh pae aisi raushnai di
aasman zamin rakh kar donon ek muTThi mein
ek zara si laDki ne pyar ki KHudai di
ye tunak-mizaji to KHair us ki fitrat mein hai
warna us ne chahat bhi hum ko intihai di
ye tanao qudrat ne do dilon mein kyun rakkha
mujh ko kaj-kulahi di us ko kaj-adai di
Ghazal
Pyar ki nai dastak dil pe phir sunai di
Bashir Badr