pyar ka karobar karta hun
sab ko duniya mein pyar karta hun
KHud pe main e'tibar karta hun
pyar karta tha pyar karta hun
aah be-iKHtiyar karta hun
yaad jab us ka pyar karta hun
mujh ko nafrat se saKHt nafrat hai
pyar ko dil se pyar karta hun
maut ka intizar kya mani
zindagani se pyar karta hun
sabza-o-KHar-o-gul sabhi hain aziz
sare gulshan ko pyar karta hun
dost kar leta hun adu ko bhi
dushmanon ko bhi pyar karta hun
mujh ko kya ho kisi ka kuchh maslak
main shiar apna pyar karta hun
mujh ko sangin buton se ulfat hai
pattharon ko main pyar karta hun
bach ke chalna sikhaya kanTon ne
is mein main un ko pyar karta hun
umr dukh dard mein kaTi apni
is liye gham se pyar karta hun
luT le dil jo aankh malte hi
aise rahzan ko pyar karta hun
un ko aata hai jis qadar ghussa
utna hi aur pyar karta hun
mujh mein rach bas gaya hai pyar aisa
sab ko duniya mein pyar karta hun
roz-e-awwal se aaj tak 'mahir'
us ko nadida pyar karta hun

Ghazal
Pyar ka karobar karta hun
Maahir Balgiraami