pyar isar wafa sher-o-hunar ki baaten
ab to lagti hain kisi aur nagar ki baaten
koi surat na rihai ki bani to jaana
hum to diwar se karte rahe dar ki baaten
waqt aaya to zabanon ko bhi jumbish na hui
log karte the bahut tegh ki sar ki baaten
ye hain maghrur parinde unhen Darne do abhi
baiTh jaenge agar chheD den ghar ki baaten
KHak se joD liya hai wo talluq ki hamein
ras aati nahin shams-o-qamar ki baaten
panw resham ke gadilon se utarte hi nahin
aur har-waqt hain kanTon pe safar ki baaten
aasman dekh ke 'shahin' ye dil chahta hai
koi karta rahe parwaz ki par ki baaten
Ghazal
Pyar isar wafa sher-o-hunar ki baaten
Hamida Shahin