puri tarah se ab ke tayyar ho ke nikle
hum chaaragar se milne bimar ho ke nikle
jadu-bhari jagah hai bazar tum na jaana
ek bar hum gae the bazar ho ke nikle
miTTi ke raston pe utre imaraton se
wapas imaraton ke aasar ho ke nikle
apni haqiqaton ko jangal banaya hum ne
aur phir kahaniyon ke kirdar ho ke nikle
aaKHir ko zindagi ke qadmon mein bichh gae hum
aur us ki Thokaron se hamwar ho ke nikle
mashuq ne kara di kya sulh aashiqon mein
sare raqib aae aur yar ho ke nikle
ye shaKHs farhat-'ehsas' aisi buri bala hai
hum us ke sath rah kar be-kar ho ke nikle
Ghazal
Puri tarah se ab ke tayyar ho ke nikle
Farhat Ehsas