puri mere junun ki zarurat na kar sake
sahra-e-jaan bhi ho to kifalat na kar sake
sai-o-amal ki ruh mohabbat ke sath thi
wo kuchh na kar sake jo mohabbat na kar sake
duniya mein jitne gham mile dil mein basa liye
hum sirf tere gham pe qanaat na kar sake
apna hi haal-e-zar sunate rahe tujhe
lekin tere sitam ki shikayat na kar sake
taraj kar ke ishq ki basti chale gae
tum fath kar ke dil pe hukumat na kar sake
duniya mein ab bhi log wafa ke hain muddai
hasil hamare haal se ibrat na kar sake
hai kafir-e-adab mere mashrab mein ai 'saba'
shair jo ehtiram riwayat na kar sake

Ghazal
Puri mere junun ki zarurat na kar sake
Saba Akbarabadi