puri hui jo hijr ki miad aawega
qaid-e-ana se ho ke wo aazad aawega
us but se ji laga na laga kya mujhe wale
phir kya karega jab wo tujhe yaad aawega
main to karun hun umr bhar ek dasht ka safar
kya hoga jab wo qarya-e-abaad aawega
aawega ek se ek suKHnawar yahan magar
koi bhi 'mir' jaisa na ustad aawega
main us ko dekhta hun to aata hai dhyan mein
kis kaam us ke ye dil-e-barbaad aawega
main jab kaha ki gham se tabiat bahaal hai
bola wo roz-e-hashr hi tu shad aawega
waqif nahin hain aable sahra ki pyas se
aur sochte hain qais pae-dad aawega
bazar-e-hast-o-bud mein shishagari meri
koh-e-junun bhi sar pe mujhe lad aawega
Ghazal
Puri hui jo hijr ki miad aawega
Ali Yasir