pura dukh aur aadha chand
hijr ki shab aur aisa chand
din mein wahshat bahal gai
raat hui aur nikla chand
kis maqtal se guzra hoga
itna sahma sahma chand
yaadon ki aabaad gali mein
ghum raha hai tanha chand
meri karwaT par jag uTThe
nind ka kitna kachcha chand
mere munh ko kis hairat se
dekh raha hai bhola chand
itne ghane baadal ke pichhe
kitna tanha hoga chand
aansu roke nur nahae
dil dariya tan sahra chand
itne raushan chehre par bhi
suraj ka hai saya chand
jab pani mein chehra dekha
tu ne kis ko socha chand
bargad ki ek shaKH haTa kar
jaane kis ko jhanka chand
baadal ke resham jhule mein
bhor samay tak soya chand
raat ke shane par sar rakkhe
dekh raha hai sapna chand
sukhe patton ke jhurmuT par
shabnam thi ya nanha chand
hath hila kar ruKHsat hoga
us ki surat hijr ka chand
sahra sahra bhaTak raha hai
apne ishq mein sachcha chand
raat ke shayad ek baje hain
sota hoga mera chand
Ghazal
Pura dukh aur aadha chand
Parveen Shakir