puchhte hain ye shaeri kya hai
hae aisi bhi sadgi kya hai
kya kisi baghban se ye puchha
phul kya shai hai ye kali kya hai
ye saba kis bala ka nam hai aur
ye rida gul pe shabnami kya hai
fasl-e-gul se kabhi kiya daryaft
chaar su ye hari hari kya hai
puchh lete kabhi dhanak se ki ye
sat rangon ki sahiri kya hai

Ghazal
Puchhte hain ye shaeri kya hai
Khalid Iqbal Taib