puchhte hain wo ishq ka matlab
ab nikal jaega mera matlab
us pe zahir hua mera matlab
kash pura kare KHuda matlab
kah diya un se barmala matlab
ab KHuda chahe to hua matlab
baat puri abhi nahin nikli
munh se tum le uDe mera matlab
kahte hain arz-e-wasl par wo kaho
dusri baat dusra matlab
hai ye matlab na kuchh zaban se kahun
main samajhta hun aap ka matlab
jo tamanna hai tum pe zahir hai
har ghaDi puchhne se kya matlab
dil mein jo kuchh tha un se kah na saka
lab pe aa aa ke rah gaya matlab
muddaa hai wahi jo pahle tha
aur main kya kahun naya matlab
ru-ba-ru un ke baat kar na saka
KHat mein aaKHir ko likh diya matlab
baat kya hai wo mujh se puchhte hain
waqia qissa majra matlab
wasta ghair ka nahin achchha
KHub banta hai barmala matlab
tum jo mil jao kaam ban jae
aur us ke siwa hi kya matlab
aaj KHush KHush bashir phirte hain
nikla arman muddaa matlab
Ghazal
Puchhte hain wo ishq ka matlab
Bashiruddin Ahmad Dehlvi