اردو हिंदी
Puchhte hain tujhko saffaki kahan rah kar mili | Shaahi Shayari
puchhte hain tujhko saffaki kahan rah kar mili

Ghazal

Puchhte hain tujhko saffaki kahan rah kar mili

Aurangzeb

;

puchhte hain tujh ko saffaki kahan rah kar mili
ye karamat bheDiyon ke darmiyan rah kar mili

hadson ki zad mein rahte hain zamin-o-asman
kaun si achchhi KHabar mujh ko yahan rah kar mili

har-nafas mujh ko aziyyat ka safar karna paDa
zindagi mujh se hamesha bad-guman rah kar mili

ek tilawat ne meri sanson ko baKHsha hai dawam
zindagi mujh ko sar-e-nok-e-sinan rah kar mili

yani tere sab sitam mujh par karam sabit hue
yani teri har bala hi mehrban rah kar mili

zahr ek miqdar mein us ne diya hai is liye
taqwiyat mujh ko hamesha nim-jaan rah kar mili

main usi ka markazi kirdar hun kya ilm tha
wo kahani jo darun-e-dastan rah kar mili

jo bhi kahte ho utar jata hai mere dil mein 'zeb'
aisi laffazi batao to kahan rah kar mali