puchho agar to karte hain inkar sab ke sab
sach ye ki hain hayat se bezar sab ke sab
apni KHabar kisi ko nahin phir bhi jaane kyun
paDhte hain rose shahr mein aKHbar sab ke sab
tha ek main jo shart-e-wafa toDta raha
haalanki ba-wafa the mere yar sab ke sab
socho to nafraton ka zaKHira hai ek dil
karte hain yun to pyar ka izhaar sab ke sab
zindan koi qarib nahin aur na raqs-gah
sunte hain ek ajib si jhankar sab ke sab
maidan-e-jang aane se pahle palaT gae
nikle the le ke hath mein talwar sab ke sab
zehnon mein khaulta tha jo lawa wo jam gaya
mafluj ho ke rah gae fankar sab ke sab

Ghazal
Puchho agar to karte hain inkar sab ke sab
Asad Badayuni