اردو हिंदी
Puchhi na KHabar kabhi hamari | Shaahi Shayari
puchhi na KHabar kabhi hamari

Ghazal

Puchhi na KHabar kabhi hamari

Abdul Rahman Ehsan Dehlvi

;

puchhi na KHabar kabhi hamari
li KHub KHabar aji hamari

hum laeq-e-bandagi nahin to
bas KHair hai bandagi hamari

ai dida-e-nam na tham tu hargiz
hai is mein hi behtari hamari

yan teri kamar hi jab na dekhen
phir hech hai zindagi hamari

hum jaan chuke ki jaan ke sath
jawegi ye jaankani hamari

chalne ka liya jo nam tu ne
bas jaan abhi chali hamari

bigDe ho bhale bhi baat kahte
qismat hi buri bani hamari

us zulf ke silsile mein hain hum
hai umr bahut baDi hamari

kyunkar na kaTi zaban tumhaari
han aur karo badi hamari

kahte hain palaT gaya wo rah se
taqdir ulaT gai hamari

ab hanste hain hum pe log warna
mashhur thi yan hansi hamari

hum haTte hain mulk-e-ishq se kab
heTi kisi ne kahi hamari

kya kaam kisi se hum ko 'ehsan'
hum aur ye be-kasi hamari