اردو हिंदी
Puchha ki wajh-e-zindagi bole ki dildari meri | Shaahi Shayari
puchha ki wajh-e-zindagi bole ki dildari meri

Ghazal

Puchha ki wajh-e-zindagi bole ki dildari meri

Muztar Khairabadi

;

puchha ki wajh-e-zindagi bole ki dildari meri
puchha ki marne ka sabab bole jafa-kari meri

puchha ki dil ko kya kahun bole ki diwana mera
puchha ki us ko kya hua bole ki bimari meri

puchha sata ke ranj kyun bole ki pachhtana paDa
puchha ki ruswa kaun hai bole dil-azari meri

puchha ki dozaKH ki jalan bole ki soz-e-dil tera
puchha ki jannat ki phaban bole tarah-dari meri

puchha ki 'muztar' kyun kiya bole ki dil chaha mera
puchha tasalli kaun de bole ki gham-KHwari meri