puchh mat kal aaine mein kya hua
apne zinda hone ka dhoka hua
roz suraj Dubta ugta hua
waqt ki ek kil par laTka hua
aa gaya le kar udhaari raushni
chand ne suraj ko hai pahna hua
tishnagi apni bujhaen kaise hum
jo samundar tha wo ab sahra hua
shahr se jab bhi ye dil ukta gaya
dasht ki jaanib mera jaana hua
KHubiyan meri koi ginta nahin
ek zara si bhul ka charcha hua
aa gai hun dur chalte chalte main
aasman par hai wahin Thahra hua
yaad us ki dil se kyun jati nahin
wo to 'sima' kal tha ek guzra hua
Ghazal
Puchh mat kal aaine mein kya hua
Seema Sharma Meeruthi