purani sham nae aanganon ko roti hai
kahin charagh kahin rat-jagon ko roti hai
kahin ye haal ki hai fasla jawaz-e-safar
kahin ye haal thakan faslon ko roti hai
ye shaKH-e-dil thi hare mausamon ki dil-dada
so dasht-e-hijr mein taza ruton ko roti hai
wo aankh jis ne kabhi hairaten ata ki thin
wo aankh aaj meri wahshaton ko roti hai
ye kaisa tark-e-sukunat ka e'tibar uTha
safar mein ruh-e-safar hijraton ko roti hai
guzishta umr se mansub ek shanasai
pas-e-hajuz khaDi fursaton ko roti hai
mera KHamir ye kis KHal hai uTha hai 'razi'
ki meri KHak ajab maskanon ko roti hai
Ghazal
Purani sham nae aanganon ko roti hai
Khwaja Razi Haidar