purani miTTi se paikar naya banaun koi
din aa gae hain ki ab moajaza dikhaun koi
pukarte hain ufuq KHak be-sifat hui
zamin se shajar-e-aftab ugaun koi
asa buland karun sar-kashida lahron par
fasil-e-ab uThaun hawa chalaun koi
siyahiyon mein chhupe hain dilon ke aaine
kahin se partaw-e-gum-gashta DhunD laun koi
tarash lun koi jumla lab-e-KHamoshi se
charagh-e-harf sar-e-taq-e-shab jalaun koi
ghubar-e-rang mein bhaTki hui hain KHushbuen
hawa ka hath banun rasta dikhaun koi
zamin se lauh-e-falak tak hujum-e-chashm-o-sada
bikhar chuka hun bahut daera lagaun koi
Ghazal
Purani miTTi se paikar naya banaun koi
Nazeer Qaisar