purani choT main kaise dikhaun 
uThe jab dard to phir muskuraun 
bahut se log mujh mein ro rahe hain 
aman kis kis ko yan par chup karaun 
tumhaari yaad jo ab mar chuki hai 
main us dafan kar dun ya jalaun 
bahut ji chahta hai kuchh dinon se 
main apne-ap se hi ruTh jaun 
meri KHatir dua karna mere dost 
kisi din KHud ko sach mein bhul jaun 
guzarish hai na mujh ko yaad aae 
tamanna hai na tujh ko yaad aaun 
tumhaara nam phir sahil pe likkhun 
lahr se aane pahle KHud miTaun 
banaunga main KHud ko ji kiya to 
faqat bigDi hui main kyun banaun 
main bhitar se bahut TuTa hua hun 
kisi se haal apna kya chhupaun
        Ghazal
Purani choT main kaise dikhaun
Tripurari

