purane ghar se nikal kar nae makan ki samt
bahut se log gae ek ajab jahan ki samt
pukarta hai jo sadiyon se hum ko ai yaro
chalo chale chalen us TuTe saeban ki samt
jo ek umr se rahta tha barf-zaron mein
chala hai kis liye jalti hui chaTTan ki samt
mila tha rah mein baiTha jo ek din hum ko
suna hai ja chuka wo shaKHs aasman ki samt
mera jahaz jo pahunchega us jazire mein
na koi ghaur se dekhega baadban ki samt
kabhi jo socha hai haq baat kah dun ai 'asad'
baDhi hain qainchiyan kitni meri zaban ki samt

Ghazal
Purane ghar se nikal kar nae makan ki samt
Asad Badayuni