اردو हिंदी
Purane danw par har din nae aansu lagata hai | Shaahi Shayari
purane danw par har din nae aansu lagata hai

Ghazal

Purane danw par har din nae aansu lagata hai

Rahat Indori

;

purane danw par har din nae aansu lagata hai
wo ab bhi ek phaTe rumal par KHushbu lagata hai

use kah do ki ye unchaiyan mushkil se milti hain
wo suraj ke safar mein mom ke bazu lagata hai

main kali raat ke tezab se suraj banata hun
meri chadar mein ye paiwand ek jugnu lagata hai

yahan lachhman ki rekha hai na sita hai magar phir bhi
bahut phere hamare ghar ke ek sadhu lagata hai

namazen mustaqil pahchan ban jati hai chehron ki
tilak jis tarah mathe par koi hindu lagata hai

na jaane ye anokha farq is mein kis tarah aaya
wo ab collar mein phulon ki jagah bichchhu lagata hai

andhere aur ujale mein ye samjhauta zaruri hai
nishane hum lagate hain Thikane tu lagata hai