اردو हिंदी
Purana zaKHm jise tajraba ziyaada hai | Shaahi Shayari
purana zaKHm jise tajraba ziyaada hai

Ghazal

Purana zaKHm jise tajraba ziyaada hai

Farhat Ehsas

;

purana zaKHm jise tajraba ziyaada hai
ziyaada dikhta nahin sochta ziyaada hai

zara ziyaada mohabbat bhi chahiye hum ko
hamara dil bhi to TuTa hua ziyaada hai

tera visal zarurat hai jism-o-jaan ki to ho
tera KHayal mere kaam ka ziyaada hai

jo masjidon ki taraf is qadar bulate hain
to kya ye hai ki kahin kuchh KHuda ziyaada hai

main bar bar jo us ki talab mein jata hun
KHayal-e-KHam mein shayad maza ziyaada hai

amir-e-shahr se ab kaun baz-purs kare
ki us ke pas bahut si qaba ziyaada hai

ye aaina mera aaina-e-mohabbat hai
par us mein aks kisi aur ka ziyaada hai

badan ke bagh mein sab raunaqen hain dil ke qarib
isi nawah mein baad-e-saba ziyaada hai

hujum-e-shiddat-e-'ehsas' baDh par hai aaj
karam bhi aaj ghazal ka zara ziyaada hai