pur-KHauf zulmaton se hamein phir nikaliye
ab ke jo ho sake kai suraj uchhaaliye
shamil kisi ka hath hai meri uThan mein
ye bel jo chaDhi to koi aasra liye
pata hun ek shaKH se TuTa gira hua
phirti rahegi jaane kahan tak hawa liye
inkar pyas aag lahu tan daridgi
kufe se ho nasib palaTna to kya liye
har bar apni chup se ulajhte raha kiye
aasan nahin hain harf-o-nawa ke siwa liye
mumkin hai jism tab-e-gohr dil ka ban sake
ye KHwab hai to aankh ki sipi mein paliye
shayad kisi KHayal ki tah mein chhupe milen
sahil hare-bhare ki samundar ne aa liye
Ghazal
Pur-KHauf zulmaton se hamein phir nikaliye
syed raza