pur-kaif kahin ke bhi nazare na rahenge
duniya mein agar ishq ke mare na rahenge
duniya-e-mohabbat mein charaghan na milega
palkon pe agar ashk hamare na rahenge
tum chhoD ke mat jao mujhe shahr-e-bala mein
warna mere jine ke sahaare na rahenge
tai kar lo safar shab ka ki mauqa hai ghanimat
phir charKH-e-barin pe ye sitare na rahenge
gham zist ke afsane ka unwan hasin hai
hum honge kahan gham jo hamare na rahenge
be-mani nazar aaenge aaankhon ke sahife
maujud agar un mein ishaare na rahenge
phir kis pe yaqin kaisa bharam kaisi murawwat
aaza bhi hamare jo hamare na rahenge
Ghazal
Pur-kaif kahin ke bhi nazare na rahenge
Obaidur Rahman