pur-kaif bahaaron ne bhi dil toD diya hai
han un ke nazaron ne bhi dil toD diya hai
tufan ka shewa to hai kashti ko Dubona
KHamosh kinaron ne bhi dil toD diya hai
is Dubte suraj se to ummid hi kya thi
hans hans ke sitaron ne bhi dil toD diya hai
kis tarah karen tujh se gila tere sitam ka
madhosh ishaaron ne bhi dil toD diya hai
mana ki thi ghamgin kali KHauf-e-KHizan se
chup rah ke bahaaron ne bhi dil toD diya hai
aghyar ka shikwa nahin is ahd-e-hawas mein
ek umr ke yaron ne bhi dil toD diya hai
ye daur-e-mohabbat bhi ajab daur hai is mein
ai 'naqsh' sahaaron ne bhi dil toD diya hai
Ghazal
Pur-kaif bahaaron ne bhi dil toD diya hai
Mahesh Chandra Naqsh