puKHta hone na diya KHam bhi rahne na diya
ishq ne KHas to kya aam bhi rahne na diya
hae-re gardish-e-ayyam ki ab ke tu ne
shikwa-e-gardish-e-ayyam bhi rahne na diya
aaKHir-kar pukara use zalim kah kar
dard ne dost ka ikram bhi rahne na diya
koi kyun aaega dobara teri jannat mein
dana bhi chhin liya dam bhi rahne na diya
aish mein pahle kahan apni basar hoti thi
yaad ne do ghaDi aaram bhi rahne na diya
dil ko aawargiyan dur bahut chhoD aain
zikr-e-KHair ek taraf nam bhi rahne na diya
wahi zanjir hai tere bhi gale mein 'rahil'
jis ne suraj ko lab-e-baam bhi rahne na diya
Ghazal
PuKHta hone na diya KHam bhi rahne na diya
Raheel Farooq

