pukarti hai KHamoshi meri fughan ki tarah
nigahen kahti hain sab raaz-e-dil zaban ki tarah
bigaD gai hai yahan be-tarah jahan ki tarah
kahan ki waza kahan ki ada kahan ki tarah
chhuDa de qaid se ai barq hum asiron ko
laga de aag qafas ko bhi aashiyan ki tarah
kabhi to sulh bhi ho jae zohd o masti mein
ilahi shaiKH bhi mai-KHwar ho mughan ki tarah
jala ke dagh-e-mohabbat ne dil ko KHak kiya
bahaar aai mere bagh mein KHizan ki tarah
haya ne rok liya jazb-e-dil ne khinch liya
chale wo tir ki surat khinchi kaman ki tarah
talash-e-yar mein chhoDi na sarzamin koi
hamare panw mein chakkar hai aasman ki tarah
jo samjhe KHizr to qaul-e-shahid-e-ulfat ko
girah mein bandh rakkhe umr-e-jawedan ki tarah
sune jo hazrat-e-zahid se wasf jannat ke
to saf phir gai aankhon mein us makan ki tarah
jhuki hi jati hai kuchh KHud-ba-KHud haya se wo aankh
giri hi paDti hai bimar-e-na-tawan ki tarah
ye sadd-e-rah hua kis ka pas-e-ruswai
ruke hue hain mere ashk karwan ki tarah
ada-e-matlab-e-dil hum se sikh jae koi
unhen suna hi diya haal dastan ki tarah
maze hain us dahan-e-zaKHm ke liye kya kya
jo chuse tir ke paikan ko zaban ki tarah
samajh ke kijiye barbaad mera musht-e-ghubar
ye le na aae koi chakkar aasman ki tarah
ye dil hai aap ka ghar rahiye shauq se lekin
shakeb-o-rahat-o-sabr-o-qarar-e-jaan ki tarah
qayamat aai shab-e-wasl mere ghar ke pas
raqib ne use aawaz di azan ki tarah
shab us ki bazm mein tha shama par bhi rashk hamein
ki munh mein shole ko gul-gir le zaban ki tarah
mujhe ye hukm hai zinhaar tum na karna ishq
nasihaten bhi wo karte hain imtihan ki tarah
hum apne zoaf ke sadqe biTha diya aisa
hile na dar se tere sang-e-astan ki tarah
kuchh un se kahne ko baiThe the hum ki KHalwat mein
raqib aa hi gaya marg-e-na-gahan ki tarah
shikasta baal hun wo murgh-e-natawan-o-zaif
ki main to main na uDe mere aashiyan ki tarah
na honge soz-e-mohabbat ke dil-jale ThanDe
bhari hai aatish-e-gham maghz-e-ustuKHwan ki tarah
na chhoD said-e-mohabbat ko KHak par sayyaad
use bhi Dal le tu dosh par kaman ki tarah
zaban-e-KHar hui tar hamari wahshat se
ki chhaale phuTe bhi chashm-e-KHun-fishan ki tarah
KHuda qubul kare 'dagh' tum jo su-e-adam
chale ho ishq-e-butan le ke armughan ki tarah
Ghazal
Pukarti hai KHamoshi meri fughan ki tarah
Dagh Dehlvi