pukarti hai jo tujh ko teri sada hi na ho
na yun lapak ki palaTne ko hausla hi na ho
tamam harf zaruri nahin hon be-mani
ye aasman udhar jhuk ke TuTta hi na ho
mile the yun ki juda ho ke aise milte hain
hamare bich kabhi jaise kuchh hua hi na ho
har ek shaKHs bhaTakta hai tere shahr mein yun
kisi ki jeb mein jaise tera pata hi na ho
jo hota jata hai mayus din-ba-din tujh se
zara qarib se dekh is ko aaina hi na ho
jahan ko chhan ke baiTha hai is tarah 'shahid'
tamam umr mein jaise kabhi chala hi na ho
Ghazal
Pukarti hai jo tujhko teri sada hi na ho
Shahid Kabir