pukarte pukarte sada hi aur ho gai
qubul hote hote har dua hi aur ho gai
zara sa ruk ke do-ghaDi chaman pe kya nigah ki
badal gae mizaj-e-gul hawa hi aur ho gai
ye kis ke nam ki tapish se par par jal uThe
hatheliyan mahak gain hina hi aur ho gai
KHizan ne apne nam ki rida jo gul pe Dal di
chaman ka rang uD gaya saba hi aur ho gai
ghurur-e-aftab se zamin ka dil saham gaya
tamam barishen thamin ghaTa hi aur ho gai
KHamoshiyon ne zer-e-lab ye kya kaha ye kya suna
ki kaenat-e-ishq ki ada hi aur ho gai
jo waqt mehrban hua to KHar phul ban gae
KHizan ki zard zard si qaba hi aur ho gai
waraq waraq 'alina' hum ne zindagi se yun ranga
ki katib-e-nasib ki raza hi aur ho gai
Ghazal
Pukarte pukarte sada hi aur ho gai
Aleena Itrat