pukarta hun ki tum hasil-e-tamanna ho 
agarche meri sada bhi sada-ba-sahra ho 
jahan tumhaara hai hoga wahi jo tum chaho 
mujhe bhi chahne do kuchh agar to phir kya ho 
jahan o ahl-e-jahan ko kisi se kaam nahin 
mere qarib to aao ki tum bhi tanha ho 
zamana madfan-e-ayyam hai KHamosh raho 
na jaane kaun hamari sada ko sunta ho 
bharam khula hai to aise har ek ko dekhta hun 
ki jaise main ne kabhi aadmi na dekha ho 
tera karam hai ki mein tere dam se jita hun 
mera nasib ki tu mere dam se ruswa ho 
tere KHayal mein gum ho ke tai kiye main ne 
wo marhale ki jahan mauj aabla-pa ho 
saza-e-zist qayamat sahi magar hum log 
wo zinda hain jinhen har roz roz-e-farda ho 
dhaDakte dil ki sada bhi ajib shai hai 'zafar' 
ki jaise koi mere sath sath chalta ho
        Ghazal
Pukarta hun ki tum hasil-e-tamanna ho
Yusuf Zafar

