pukarta hai magar dhyan mein nahin aata
ajib harf hai imkan mein nahin aata
bas ek nam hai apna nishan jo yaad nahin
aur ek chehra jo pahchan mein nahin aata
main gosha-gir hun sadiyon se apne hujre mein
masaf-e-baiat-o-paiman mein nahin aata
mujhe bhi hukm nahin shahr se nikalne ka
mera harif bhi maidan mein nahin aata
main is hujum mein kyun is qadar akela hun
ki jama ho ke bhi mizan mein nahin aata
mere KHuda mujhe is aag se nikal ki tu
samajh mein aata hai iqan mein nahin aata
Ghazal
Pukarta hai magar dhyan mein nahin aata
Irfan Siddiqi