اردو हिंदी
PTriyon ki chamakti hui dhaar par fasle apni gardan kaTate rahe | Shaahi Shayari
pTriyon ki chamakti hui dhaar par fasle apni gardan kaTate rahe

Ghazal

PTriyon ki chamakti hui dhaar par fasle apni gardan kaTate rahe

Yusuf Taqi

;

pTriyon ki chamakti hui dhaar par fasle apni gardan kaTate rahe
duriyan manzilon ki simaTti rahin lamha lamha wo nazdik aate rahe

zinda machhli ki shayad taDap thi unhen sare bagule samundar ki jaanib uDe
ret ke zard kaghaz pe kuchh soch kar nam likh likh ke tera miTate rahe

narm chahat ki phaili hui ghas ko waqt ke saKHt patthar na raunden kahen
bas yahi KHauf apni nigahon mein tha muskurane ko hum muskuraate rahe

chilchilati hui dhup ki aanch mein yun jhulasna to apna muqaddar raha
zehn mein narm-o-nazuk ghani chhanw se tere aanchal magar sarsaraate rahe

yas ki KHushk Tahni pe kaise laga baur KHwabon ka mujh se na kuchh puchhna
zindagi lamha lamha mujhe mil gai qatra qatra wo chahat luTate rahe