poshida dekhti hai kisi ki nazar mujhe
dekh ai nigah-e-shauq tu ruswa na kar mujhe
maqsad se be-niyaz raha zauq-e-jushtuju
main be-KHabar hua jo hui kuchh KHabar mujhe
main shab ki bazm-e-aish ka matam-nashin hun aap
ro ro ke kyun rulati hai shama-e-sahar mujhe
hairat ne meri aaina un ko bana diya
kya dekhte ki rah gae wo dekh kar mujhe
qurban jaun chhoD takalluf ki guftugu
kah kar pukar 'wahshat'-e-shorida-sar mujhe

Ghazal
Poshida dekhti hai kisi ki nazar mujhe
Wahshat Raza Ali Kalkatvi