poshak na tu pahniyo ai sarw-e-rawan surKH
ho jae na partaw se tere kaun-o-makan surKH
yan baada-e-ahmar ke chhalakte hain jo saghar
ai pir-e-mughan dekh ki hai sari dukan surKH
pi baada-e-ahmar to ye kahne laga gul-ru
main surKH hun tum surKH zamin surKH zaman surKH
kya pan ki surKHi ne kiya qatl kisi ko
shiddat se hai kyun aaj teri tegh-e-zaban surKH
sine mein dil-e-gham-zada KHun ho gaya shayad
be-wajh bhi hote hain kahin ashk-e-rawan surKH
kya bhaDke hai sine mein mere aatish-e-furqat
jo aah ke ham-rah nikalta hai dhuan surKH
ye qatl-e-KHizan par hain jawanan-e-chaman shad
har samt gul-o-lala uDate hain nishan surKH
gar meri shahadat ki bashaarat nahin 'parwin'
phir kyun hai KHat-e-shauq ke unwan ye nishan surKH
Ghazal
Poshak na tu pahniyo ai sarw-e-rawan surKH
Parveen Umm-e-Mushtaq